Saturday, June 20, 2009

unknown

aaj kya hai ki unnke lab par mera naam aa raha hai
shayad ishq mein naya maqaam aa raha hai
qatal kar ke qaatil yun mera gawaah ban baitha
har safa-e-qitaab mere naam ilzaam aa raha hai
woh kar rahe hai qalaam guftagu-e-jaan ki tarah
shayad meri shobat ka asar aur inqalab aa raha hai
bikhar jaaoge meri sej par jab meri aagosh mein honge tum
kahoge yeh kaun sa tapish-e-gham kaa azaab aa raha hai....

No comments:

Post a Comment