ae mauj-e-hawa ab tu hi bata
woh yaar hamara kaisa hai..?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
woh jaan se pyara kaisa hai..?
kya usske jiwan ke lamhon mein
koi lamha mera baqi hai..?
kya usski jaagti aankhon mein
meri yaad se pheli udasi hai..?
kya woh bhi meri tarha yunhi
shab bhar jaaga karta hai..?
kya woh bhi saay-e-rehmat mein
hamen rab se maanga karta hai..?
agar aisa nahin toh tu hi bata
hum yaad usse kyu karte hain..?
woh humse bichad kar khush hai agar
toh hum pal pal kyun marte hain..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment