Tuesday, June 2, 2009

unknown

meri nighahon ke aaine main hain naqsh ab tak wisaal lamhe
yahi mata-e-hayat hain aur yehi hain hasil kamaal lamhe
ye zindagi ke niraale mosham hamen toh ab tak samjh na aaye
jo yaad gaar-e-hayat thehre they ab tak wohi wabaal lamhe
tumhara kya hai ke tum toh raaste badal ke bilkul sakoon se ho
hamen toh masmaar kar gaye hain judaai ke ye nidhaal lamhe
hamen bhala kab khabar thi janan,hamen bhala kab pata tha janan
jo maat kar di gi apne jivan, chalenge aisi bhi chaal lamhe
hamen toh apna hi aap bhi ab shafaaf dikhta nahi hai logo
hamari aankhon main bhar gaye hain ye kaisi gard-e-malaal lamhe

No comments:

Post a Comment