Saturday, June 20, 2009

unknown

kagaz jal raha hai lafzon main tapish kyon hai
mere majboot iradon main aaj larzish kyon hai........
ek muddat hui jab pathar ho gai aankhein
tere chhune se aaj inn mein yeh barish kyon hai......
wo janta hai saanson ke bina jeena nahi mumkin
phir mujhe bhoolne ki karta koshish kyon hai.......
wo chaand hai aur main taara hamen saath chalna hai
phir har raat uss mein aur mujh mein ranzish kyon hai......
mere honton pe laga ke khamoshi ka tala aksar
baat baat par bolne ki karta guzarish kyon hai......
mera har zakhm darz hai tere dil ki kitaab main
har aah pe aansuon ki karta tu numaish kyon hai........
zamana janta hai mumkin nahi badal ko qaid karna
phir mere khyalon par lagata tu bandish kyon hai........
dil jalake roshan kar di 'dila' ne teri raahein
phir bhi tere qadam qadam par gardish kyon hai......

No comments:

Post a Comment