Tuesday, June 2, 2009

unknown

ye jamal kya, ye jalal kya, ye arooj kya, ye zawaal kya
vo jo ped jad se ukhad gaya usse maushmon ka malal kya
woh jo lamha lamha bikhar gay, woh apni hadh se guzar gaya
usse fikar sham-o-sehar kya, usse ranjish mah-o-saal kya
hua reza reza jo dil tera isse jod jod ke mat dikha
woh jo apne husn mein mast hai usse aaine ka khayal kya
wohi hizr raat ki baat hai wohi chaand taroon ka saath hai
jo faraq se ho aashna usse arzoo-e-wasal kya
kisi aur se kare kyun gila, mahen apne aap se dukh mila
woh jo dard-e-dil ho ashna usse duniya bhar ka wabaal kya
wohi gard gard gubar hai wohi charoon aur fashaar hai
woh jo khud o bhi nahi janta woh ho mera waqif-e-haal kya

No comments:

Post a Comment