ae kaash tujhe aisa ik zakhm-e-judai doon
jab tees koi chamke main tujhko dikhai doon
haan maine tujhe chaha inkaar nahi mujhko
yeh zurm toh sabit hai, kya iss ki safaii doon ?
jis roz kabhi tera didaar na ho paaye
main apni hi ankhon ko nabeena dikhai doon
maghroor hai tu kitna sirf ek sanam ban kar
tu chahe toh main tujhko tan mann ki khudai doon
tujhsa koi dil wala mehsoos kare mujhko
main geet nahi aisa jo sab ko sunai doon
ik umar ke baad apne chit-chor ko pakada hai
main kaise tujhe apni baahon se rihayi doon ?
ae kaash tujhe aisa ik zakhm-e-judai doon
jab tees koi chamke main tujhko dikhai doon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment