Wednesday, June 10, 2009

s.malik gumnaam ki shayyiri

nazar se nazar ko salaam aa rahe hain
phir unnki taraf se payyam aa rahe hain
jo parda nashin thay bohat muddaton se
woh lamhe mujhe bazm-e-aam aa rahe hain
phir unnki taraf se payyam aa rahe hain
nazar se nazar ko salaam aa rahe hain
sajaane ko ab mere khwabon ki basti
ye phoolon ke gajre tamaam aa rahe hain
zara toh karo sabar ae maikasho tum
tumhari hi jaanib ye jaam aa rahe hain
kahan kho gaye aap 'gumnaam' ho kar
tumhen dhoondhne subah-o-shaam aa rahe hain

No comments:

Post a Comment