Wednesday, June 10, 2009

ghalib ki shayyiri

dil se terri nigah jigar tak utar gayi
donon ko ik ada mein razaamand kar gayi
woh bada-e-shabaana ki sar-mastian kahan
uthathe bas ab, ke lazzat-e-khwab-e-sehar gayi
dekho toh dil-farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-kiraam-e-yaar bhi kya gul-katar gayi
nazaron ne bhi kaam kiya waan naqaab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gayi
maara zammane ne 'asadullah khan' tumhen
vo walwale kahan vo jawani kidhar gayi

No comments:

Post a Comment