Thursday, June 18, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

haal-e-gham unnko sunate jaayiye
shart ye hai ke muskurate jaayiye
aap ko jaate na dekha jaayega
shamma ko pehle bujhaate jaayiye
shukriyaa lutf-e-musalasal ka magar
gaahe gaahe dil ko dukhate jaayiye
dushmanon se pyar hota jaayegaa
doston ko aazmaate jaayiye
raushni mahaduud ho jinki 'khumaar'
unn chraghon ko bujhate jaayiye

No comments:

Post a Comment