Thursday, June 18, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

ek pal mein ek sadi ka maza ham se puuchhiye
do din ki zindagi ka maza ham se puuchhiye
bhuule hain unhen rafta rafta mudatton mein ham
qishton mein Khud-kushi ka maza ham se puuchhiye
aagaaz-e-aashiqi ka maza aap jaaniye
anjaam-e-aashiqi ka maza ham se puuchhiye
jalate diyon men jalate gharon jaise zau kahan
sarakar raushni ka maza ham se puuchhiye
vo jaan hi gaye ke hamen unnse pyar hai
aankhon ki muKhbari ka maza ham se puuchhiye
hansane ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza ham se puuchhiye
ham tauba kar ke marr gaye bemaut ae 'khumar'
tauheen-e-mai_kashi ka maza ham se puuchhiye

No comments:

Post a Comment