Friday, May 29, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

tere dar se uth kar jidhar jaaun main
chalun do qadam aur thehar jaaun main
agar tu Khaffa toh parwah nahin
tera gham Khaffa ho toh marr jaaun main
tabassum ne itna dasha hai mujhe
kali muskuraye toh darr jaaun main
sambhaale toh hun Khud ko tujh bin magar
jo chhu le koi toh bikhar jaaun main

No comments:

Post a Comment