Saturday, April 4, 2009

yaas yagaana changezi ki shayyiri

silsila chhid gaya jab 'yaas' ke fasaane ka
shama gul ho gayi dil bhujh gaya parwane ka
vaai hasrat ki talluq na hua dil ko kahin
na toh kaabe ka hua main na toh sanam khane ka
khilvat-e-naaz kuja aur kuja ahl-e-hawas
zor kya chal sake faanuus se parvaane ka
waah kis naaz se ataa hai tera daur-e-shabaab
jis tarah daur chale bazm mein parwane ka

No comments:

Post a Comment