dosh-e-saba pe ishq ka manzar likhta hoon
main shayer hoon, ashk ko gauhar likhta hoon
jab likhta hoon jheel si aankhon ka manzar
doob na jaaoon, aur sanbhal kar likhta hoon
jab hoton ko tere misl gulaab likhoon
surkh, gulaabi rang badal kar likhta hoon
jab main teri dheemi bahki chaal likhoon
mast saba sa thhahar thhahar kar likhta hoon
Jab khushboo likhta hoon teri kaaghaz par
main gulaab ki boo mein dhal kar likhta hoon
kaali ghata si zulf jo likhna hota hai
Maen baadal ka roop badal kar likhta hoon
Jab phoolon sa gaal tumhara likhna ho
waqt-e-subah main baagh mein chalkar likhta hoon
dard jigar ke jab bhi likhne hote hain
main 'seraj' har shab mein jalkar likhta hoon
Monday, April 13, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment