eid ka din hai magar aaj pareeshaan huun main !
poore roze rakhe the ramzaan ke.
aur tilaawat kiye the Quraan ke
dil mein thi hamd-e-khuda
aur mere lab pe darood
panj-waqta namazein
aur taraweeh ke sojood
lab se kalmaat-e naagwaar bhi goya na hue
qalb ko paak rakha, soo-e tamasha na hue
duayen dil se kiya karte the us rab se sada
bina kuch paye na wapas gaya iss dar se gada
roz ye intezaar tha ki eid aayegi
saath mein khushiyaan hi khushiyaan ye eid layegi
aaj hai eid to lagta hai eid hai hi nahin
muntazar aankh hai ye, teri deed hai hi nahin
dasht-e -sahra mein yahaan sab hai , pe tanha huun main
eid ka din hai , magar aaj pareeshaan huun main
Monday, April 13, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment