firaq-e gham mein hokar jab kisi ka dil pighalta hai ,
tu aansoo ban ke aankhon se wahi baadal nikalta hai !
bade nayaab moti hain, na khona farte gham hokar,
rula deta hai sabko, jab sare mahfil nikalta hai !
kisi ka dil na todo,dil agar toota tu phir dekho,
ki ban kar mauje darya, aansoo dar-e saahil nikalta hai
kisi ke gham hamen dekhe nahin jaate kabhi aye dost,
koi takleef mein jo ho , tu mera dil nikalta hai !
jo gham mein doobte jaao, tu gahraaii na paoge ,
ki ismein doob kar shayad koi aaqil nikalta hai !
na mehnat se pareeshaan ho, jahaan mein ilm haasil kar,
ye hai baab-e muraad , ismein se mustaqbil nikalta hai !
jahaad-e zindagaani mein, na peechhe laut kar dekho,
nidar jo badhta jaaye aage wo kaamil nikalta hai !
karen kis par bharosa ham 'SERAJ', sab chehre nakli hain !
jise apna samajhte hain , wahi qatil nikalta hai !!
Wednesday, April 15, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment