Nida Fazli wrote this nazm as tribute to his father as
he was not able to reach at the burial of his father coz of sum pro...
tumhari qabr par main
faateha padne nahi aaya
mujhe maloom tha, tum mar nahi sakte
tumhari maut ki sachchi khabar
jisne udai thi, vo jhootha tha
vo tum kab thay?
koi sukha hua pataa,hawa mein gir ke toota tha
meri ankhien
tumhare manzaron mein qaid hai ab tak
main jo bhi dekhta hun,sochta hun
vo vohi hai
jo tumhari nek-naami aur bad-nami ki duniya thi
kahin kuch bhi nahi badlaa
tumhare haath,meri ungliyon mein saans lete hain
main likhne ke liye jab bhi qalam kagam uthata hun
tumhe baithaa hua main
apni hi jagah mein paata hun
badan mein mere jitna bhi lahu hai
wo tumhari
lagzishon, na-kaamiyon ke saath bahtaa hai
meri awaz mein chhup kar,tumhara zehn rehta hai
meri bimariyon mein tum
meri lachariyon mein tum
tumhari qabr par jis ne tumhara naam likha hai
vo jhootha hai
tumhari qabr mein,main dafn hun
tum zinda ho!
tum zinda ho!
mile fursat kabhi,toh fatehaa padne chale aana
Monday, November 24, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment