sahil pe kashtiyan dubana kab ka chhod diya maine
unnki yaad mein aansu bahana kab ka chhod diya maine.....
toote dil mein ab koi umeed na koi aarzu rahi baki
aandhiyon mein chirag jalana kab ka chhod diya maine.......
khuda jane aaj phir kyon unnki aankh mein nami si hai
haal-e-dil unnko sunana kab ka chhod diya maine.......
unnka vaada hai khabbon mein aksar aate raheinge
vo kya jaane khaab sajana kab ka chhod diya maine......
mujhe giraane ki firaq mein aankhon se pila rahe hain
nashe ke alam mein ladkhadana kab ka chhod diya maine.......
suno zamane walo be_wajah unnko badnaam na karo
unnki gali mein aana jana kab ka chhod diya maine......
ho sake toh koi hamen hamari manzil ka patta de de
bhatke logo ko rah dikhana kab ka chhod diya maine........
'zahid' ke band honton ko ab koi zehmat gawara nahi,
ke do duniya se muskurana kab ka chhod diya maine........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment