Monday, June 22, 2009

unknown

kehte hain log ishq ko ibadat yaaro
ibadat mein phir kyun ruswaai hai
vo na aaya toh dil ko lubhane ko mere
shab-e-hizr mein usski yaad chali aayi hai
mehfil mein reh kar bhi tanha rehna
yeh ada usski muhbbat me sikhlayi hai
yeh bhi usski muhbbat ki inayat hai yaari
main tamasha bana aur duniya tamashayi hai
intzaar mein kisi ke na raat ko barbaad karna
duubte taaron ne mujhe baat yeh samjhayi hai
uss se talluk hi kuch aisa raha hai dosto
jab bhi socha usse aankh bhar aayi hai

No comments:

Post a Comment