deen ne aashiq-e-rasool bana diya
niyat ko sawab ka waela thehra diya
sajda, namaz ko zannat ka zariya kaha
dil mein allah ka ghar, kaaba bana diya
dil-o-dimag pe chah gayi har hadith
gham mein sabar aur hasna sikha diya
kalme se tarif, quran se imaan sikhaya
unnki muhbbat ne meri ruuh ko jaga diya
nafs pe qabu, gunahon se tauba jo ki
durood ka matlab, dukh ka ilaz samjha diya
maujza dikhaya be-misal imaan ki surat
unnki amad ne kufr ka sar jhuka diya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment