har roj zehan mein naye sawaal aate kyu hain
vo baar baar hamen hi aazmate kyu hain ?
mita toh diya khud hi mere wajood ko jisne,
vo mujh mein khud ko ab talaashte kyu hain ?
maango jawab bhi gar unne vo ulajh jaate hain,
vo aise mod par khud ko hardum laate kyu hain ?
bhool jaao mujko sada ke liye vo ye bhi kahte hain,
bhool toh jayen lekin, vo humko yaad aate kyu hain ?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment