yeh thin zindagi ki inayaatein ke daag-e-zakhm-e-jigar mile
jinhe raston ki khabar na thi unnhe umar bhar ke safar mile..
hum mein hi thi na koi baat, yaad na tum ko aa sake
tumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula sake
tu hi na sun sako agar, qissa-e-gham sunega kaun
kis ki zubaan khulegi phir, hum na agar suna sake
raunaq-e-bazm ban gaye, lab pe hikayaten rahin
dil mein shikayaten rahin, lab na magar hila sake
shouq-e-wisal hai yahan, lab par sawal hai yahan
kis ki majaal hai yahan, hum se nazar mila sake
hum mein hi thi na koi baat, yaad na tum ko aa sake
tumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula sake
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment