ik zamana hua hai kya kahiye
intzaar-e-waffa hai kya kahiye
ishq paiband hain tijarat mein
ye tijarat juda hai kya kahiye
martaba jaan ke mujhse poocha
haal kya hai, bataye kya kahiye
sharm ki koi hadh mukarrar ho
jaan chilman pe wa hain kya kahiye
zist ki lau bhuji bhuji si hai
koi aa na saka hai kya kahiye
chal nikal chal yahan se ab 'dil'
ab dhuaan uth raha hai kya kahiye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment