ek raah par saari umar chale
ek duuje ko na samjh sake
jiwan ka safar anjaan safar
be_khahish, be_armaan safar
jiwan ke kisi bhi dukh sukh mein
woh mere saath shareek nahin
hum dono mein ek rishta hai
par jazbon ki tehreek nahin
jaari hai, magar anjaan safar
main sochta hun ek din yunhi
woh mujhse juda ho jayegi
ya pehle main marr jaunga
ya shayad woh marr jayegi
phir log kahenge innka
yeh rishta kitna sachcha tha
par kisko khabar, saara jivan
woh tanha thi ,,,, main tanha tha ,,,,
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment