pathar ke jigar walon gham mein vo rawani hai
khud raah bana lega behata hua paani hai
phool mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai
iss mein teri zulfon ki be-rabti kahani hai
ek jahan-e-pareshan mein vo phool sa chehra hai
pathar ki hifazat mein sheeshe ki jawani hai
kyun chandni raaton mein dariya pe nahate ho
soye huye pani mein kya aag lagani hai
iss hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pehna
hans kar koi puchega kya jaan ganwani hai
rone ka asar dil par reh reh ke badalta hai
ye shabnami lehza hai ahista ghazal padhna
titli ki kahani hai, phool ki jubani hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment