mushkil hai ab shehr mein nikle koi ghar se
dastaar pe baat aa gayi hai hoti hui sar se
barsa bhi toh kis dasht ke be-faiz badan par
ik umar mere khet thay jis abr ko tarse
iss baar jo indhan ke gira hai
chidiyon ko bada pyar tha uss buudhe sajar se
mehnat meri aandhi se toh mansoob nahin thi
rehna tha koi rabt shajar ka bhi samar se
khud apne se milane ka toh yaara na tha mujh mein
main bheed mein gum ho gayi tanhai ke darr se
benaam musaafat hi muqaddar hai toh kya gam
manzil ka tai'n kabhi hota hai safar se
pattharaya hai dil yun ki koi ism padha jaaye
ye shehr nikalta nahin jaadu ke asar se
nikale hain toh raste mein kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar aayega iss raah-guzar se
Wednesday, June 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment