
dil toh humne lagaya hai, aap chup kyun hai?
daav ye humne ganwaya hai, aap chup kyun hai?
log kya kya nahi kehte hai hamen duniya mein !
aap ka naam bhi aaya hai, aap chup kyun hai?
yeh toh kahiye ki nazar kyun hai khoi khoi hui
bhed[raaz] kya humse chhipayya hai, aap chup kyun hai?

No comments:
Post a Comment