jo chal sako toh koi aisi chaal chal jaana
mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana
yeh shulgi ho badan ki toh kya kiya jaaye
so lazmi thehra pairhan ka badal jana
abhi abhi toh judai hi ki shaam aayi thi
hamen ajeen laga zindgi ka dhal jana
yeh kya ke tu bhi ussi sehat-e-zawal mai hai
ke jis tarah hai sabhi surajon ka dhal jana
har ishq ke baad aur uss ke ishq ke baad
'faraz' itna bhi aasan na tha sambhal jaana
Sunday, June 21, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment