andaaz-e-baqa hai shaur-e-fana hai ilm
meraj-e-marfat-e-sifat ambiya hai ilm
adam ko waza-o-waza faziilat hua hai ilm
sajde malayaka ke batayenge kya hai ilm
kaun-o-makan mein yun bhi issi ka zahoor hai
allah ek naam hai ilm isska noor hai
aankhon ka noor dil ki haraarat bhi ilm hai
iiman ka soz ishq ki lazzat bhi ilm hai
hai ilm hi imam-e-hidayat bhi ilm hai
paigambari bhi ilm Ri.isalat bhi ilm hai
lauho qalam ke zikr se khud ashkar hai
parwardigar ilm ka parwardigar hai
adam ko jab mila toh faqat iltaza tha ilm
aag mein khaleel ke lab ki dua tha ilm
muusa ko jab mila toh tajaali numa tha ilm
bayani-e-muhammad mein noor-e-khuda tha ilm
ye ilm hi wahi kabhi iihaam ho gaya
kaabe tak aate aate ali ka naam ho gaya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment