Wednesday, June 10, 2009

dilawar figar ki shayyiri

jadaa-e-fan mein bade sakht muqam aate hain
mar ke reh jata hai fankar amar hone tak
kitne gaalib thay jo paida huye aur mar bhi gaye
qadardan ko takhallus ki khabar hone tak
kitane iqbaal rah-e-fikr mein uthe lekin
rasta bhool gaye khatm-e-safar hone tak
kitne shabbir hasan khan na bane josh kabhi
marr gaye kitane sikandar bhi jigar hone tak
faiz rang bhi ashaar mein aa sakta th
ungliyan saath to den khoon mein tar hone tak
chand zarron hi ko milati hai ziyaa-e-khursheed
chand taare hi chamkte hain sehar hone tak
dil-e-shayar pe kuch aisi hi guzarti hai 'fighar'
jo kisi qatre pe guzare hai guhar hone tak

No comments:

Post a Comment