tum puchho aur main na bataon, aise toh halat nahi
ek zara sa dil tuuta hai, aur toh koi baat nahi
kisko khabar thi sanwle badal bin barse udd jaate hain
sawan aaya lekin apni kismat mein barsat nahi
mana jiwan mein aurat ek baar mohbbat karti hai
lekin mujhko ye toh bata de kya tu aurat-zaat nahi
khatm hua mera afsana ab ye aansoo ponchh bhi lo
jis mein koi tara chamke aaj ki raat vo raat nahi
mere ghamgin hone par ehbaab hain yu hairaan 'qateel'
jaise main patthar hun, mere seene mein jazbaat nahi
Friday, May 29, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment