karta hun jam’aa main toh bikharti hai zaat aur
baaqi hai kitni ae mere maula, ye raat aur !
leti hai jalti sham’aa bhi bujhne mein kuch toh waqt
hai aadmi saa koi kahan be-sabaat aur
sailaab jaise leta hai diivaar ke qadam
karta hai gham bhi dil se koi vaardaat aur
yun toh huzuur-e-paak (saw) ke laakhon hain madda’khvaan
taa’ib sii likh rahaa hai magar kaun na’at aur
mazhar, az’l ke husn ke 'amjad' hain be-shumaar
lekin jo dekhiye toh hai baarish ki baat aur
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment