ajeeb aarzuein sar uthaye jaati hain
dilon ki kaifyatein dagmagaye jaati hain
nigah paak rahe bas khuda kare meri
ye kaisi mai hain jo ulfat pilaaye jaati hai
yaqiin jaan ke maine kiya tha ye sauda
khabar khasaare ki bhi ab hansaye jaati hain
nahi nahi ye main nahi hu mera saaya hai
sage diwar jo tahreer paayi jaati hai
azaab dil ka lagana hua hain munkir se
ye baat mehfilon mein gungunai jaati hain
vo uth chuke hain saari bazm ho gayi hain dhuwan
hamaari nazm pare-shab sunai jaati hai
main na_ummid nahi unnke yun sataane se
Ki bujhti raakh mein bhi lau toh paai jaati hai
kise suna ke kahega sukhan tere "dil"
ke bheed mein kaha awaaz uthaai jaati hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment