teri aankhon mein mere dil ka naksha ho bhi sakta hai
jise diwar samjha hai woh rasta ho bhi sakta hai
zamana gaur se dekhe, jise iss ne khuda samjha hai
woh iss ke haath ka pathar tarasha ho bhi sakta hai
nazar se door reh kar bhi, kisi soch mein rehna
kisi ke paas rehne ka tariiqa ho bhi sakta hai
woh apni sard mehri se, mujhe hadh mein toh rakhta hai
mera hadh se guzarne ka irada ho bhi sakta hai
bhari duniya ka mela saath ho toh kaun si mushkil
magar ik shaks mele mein akela ho bhi sakta hai
ye sidhi raah par chalna kahan se seekh aaye ho
ye rasta dosti ka hai, ye tera ho bhi sakta hai
maine apne jism-o-jaan ko saath rehte dekh kar samjha
nibhana ho jise nushkil woh rishta ho bhi sakta hai
uchalta, thokarein khata hua paani ka ek dhara
tere dil tak pohnchne ka bahana ho bhi sakta hai
nikal kar bandh kamre se zara baazar mein aao
agar tum dekhna chaho, tamasha ho bhi sakta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment