Saturday, June 6, 2009

unknown

zamiin pe chal na saka aasman se bhi gaya
katta ke par ko parinda uddan se bhi gaya
tabah kar gayi pakke makaan ki khwahish
main apne gaaon ke kachche makaan se bhi gaya
parayi aag mein khud kar kya mila tujhko
usse bacha na saka khud apni jaan se bhi gaya
bhulna chaha toh bhulaane ki inteha kardi
woh shaks ab mere vehm-0-gumaan se bhi gaya
kisi ke haath ka nikla hua vo teer hun main
hadaf ko chuu na saka aur kamaan se bhi gaya

No comments:

Post a Comment