Saturday, June 20, 2009

unknown

ishq mein gair hain, jazbaat ne rone na diya....
varna kya baat thi ?....kis baat ne rone na diya ?
aap kehte thay ke rone se na badlenge naseeb....
umar bhar aap ki iss baat ne rone na diya........
rone walo se kaho unnka bhi rona roa le......
jinko majbuuri-e-halaat ne rone na diya.....
tujhse mil kar hamen rona tha, bahot rona tha....
tangi-e-waqt ki mulaqaat ne rone na diya....
ek-do roz ka sadma ho toh roa lein aakhir......
humko har roz ke sadmaat ne rone na diya.....

No comments:

Post a Comment