tum jo meri baat suno
ek qissa tum ko sunata hun
yeh qissa nahi zamane ka,
yeh qissa hai ek parwane ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo piyar bauht hi karta tha,
har baat usse mallum toh thi
ek baat magar woh bhula baitha
shamma ko haasil karne mein
khud apna aap jala baitha
yun ishq ki hadh se guzarne mein
parwane ke jal marne mein
ab jagti hai na soti hai, ab shamma har pal roti hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment