Wednesday, June 10, 2009

unknown

khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
sanata hi gunj raha ho aisa bhi ho sakta hai
mera maazii mujhse bichhad kar kya jaane kis haal mein hai
meri tarah vo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
sehra sehra kab tak main dhuudhun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sehra ho aisa bhi ho sakta hai
ahle tufan soch rahe hain sahil duuba jaata hai
Khud unnka dil duub raha ho aisa bhi ho sakta hai

No comments:

Post a Comment