Saturday, June 20, 2009

unknown

yahi waffa ka sila hai, toh koi baat nahi
yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi
yahi bohat hai ke tum dekhte ho sahil se
safeena duub raha hai, toh koi baat nahi
rakha tha aashiyana-e-dil main chuupa ke tumko
woh ghar tumne chod diya hai toh koi baat nahi
tumhi ne aaiina-e-dil mera banaya tha
tumhi ne tod diya hai toh koi baat nahi
kise majaal kahe koi mujhko diwana
agar yeh tumne kaha hai toh koi baat nahi

No comments:

Post a Comment