dukh anmol hote hain.. qudrat ki wadeeat hain...
kabhi kuch de ke jaate hain.. kabhi sab chiin lete hain...
kabhi bechaiin karte hain... kabhi jeena sikhate hain...
kabhi bante hain jab aansu... umar bhar lahu rulaate hain...
kabhi lab ki hansi ban kar... nayi duniya sajaate hain...
kabhi meethi kasak ban kar... anjaani khalish ban kar...
makeen-e-dil yeh bante hain... kisi surat nahin mit'te...
jo inn se duur bhaago toh... kahin jaane nahin dete....
na zinda rehne dete hain... na yeh aazad karte hain...
nahin jiski dawa koi... yeh aisa dard hote hain...
magar yeh bhi ek haqiiqat hai... har ek ko toh nahin milte...
bade nayaab hote hain.. dukh anmol hote hain....!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment