
payaam aaye hain uss yaar-e-bewaffa ke mujhe
jise qaraar na aaya kahin bhula ke mujhe
nashe se kahun toh nahin yaad-e-yaar ka aalam
ke le udda hai koi dosh par hawa ke mujhe
judaiyan hon toh aisi ki umar bhar na mile
fareb to do zara silsile badha ke mujhe
main khud ko bhuul chuka tha magar jahan wale
uddas chhod gaye aaiina dekha ke mujhe


No comments:
Post a Comment