Thursday, June 18, 2009

unknown

bichda toh yaad ban kar raagon mein samaa gaya
jab bhi mila woh mil kar dil hi dukha gaya
hasrat se uthayi nigah aasman ki taraf
chand bhi aankh mein askh dekh kar munh phair gaya
zindagi toh kab ki ho chuki hai apni khamosh
phir woh kaun tha jo dil ko dharkane ka sabab de gaya
khayi thi qasam mud ke na dekhunga peeche kabhi
phir kaun mere mazi mein hulchul macha gaya
aata hai kaun meri yaadon ko besabab churane
dhoondho usse jo meri yaadon ko udda ke le gaya
dil toh khud hi diya tha ussko maine
asif woh toh teri neendein bhi udda le gaya

No comments:

Post a Comment