kabhi aah lab se machal gayi, kabhi ashk aankh se dhal gaye
ye tumhare gham ke chirag hain, kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
main khayal-o-khwab ki mehfilen na ba_qade-e-shaunq saja saka
tumhari ik nazar ke saath hi, mere sab iraade badal gaye
kabhi rang mein kabhi roop mein, kabhi chaaon mein kabhi dhoop mein
kahin aftaab-e-nazar hain vo, kahin mahtaab mein dhal gaye
jo fana huye gham-e-ishq mein, unhen zindgi ka na gham hua
jo na apni aag mein jal sake, vo paraii aag mein jal gaye
hai unhen bhi meri tarah junoon, toh phir unn mein mujhe mein fark kya
main girft-e-gham se na bach saka, vo hadood-e-gham se nikal gaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment