Tuesday, June 2, 2009

unknown

wo khwab hi sahi peshenazar toh ab bhi hai
bichadne wala shareek-e-safar toh ab bhi hai
hazar waqt ne deewar-e-hijar utta di magar
khyaal-e-yaar mera humsafar ab bhi hai
magar ye koun badalti rutoon se kahe
shajar mein saaya nahin hai,shajar toh ab bhi hai
mohbbatein hain agar moatbir toh phir ek shaks
mohbbaton ki tarah moatbir ab bhi hai
zubaan bareeda sahi, main khizaan raseeda sahi
hara-bhara mera zakhm-e-hunar toh ab bhi hai
hamari dar badari pe na jaaye keh humen
shaoor-e-saaya-e-deewar-o-dar ab bhi hai

No comments:

Post a Comment