mil bhi na saka , dil se juda bhi na hua
vo ik shaks jo kabhi mujhse khaffa na hua
main toh samjha tha mera muqadar sanwarega usske hawaale se
lekin wo insaan hi raha khuda na hua
aankhein toh shayad bhula bhi deti mohabbat ke bikhre rang
dil hi ba_zid tha usski yaadon se riha na hua
har rishte ke ehsaas ki apni allag kahani hai
par jo dard diya ussne vo bayan na hua
saanson ke saath chalna tha usse ban ke zindgi
vo tamaam umar ka rog bana meri dawa na hua !
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment