Wednesday, June 10, 2009

unknown

kahin aisa na ho daaman jala lo
hamare aansuon par khaak daalo
manaana hi zaroori hai toh phir tum
hamen sab se khaffa ho kar mana lo
bohat royi hui lagti hain aankhen
meri khatir zara kajal laga lo
akelepan se khauff aata hai mujhko
kahan ho ae mere khwaab-o-khayalo
bohat mayyus baitha hun main tumse
kabhi aa kar mujhe hairat mein daalo

No comments:

Post a Comment