Friday, June 5, 2009

unknown

bhool ho jaati hai yun tesh mein aaya na karo
faasle khatam karo baat badhaya na karo
ye nigahen, ye ishare, ye adaein, tauba !
inn sharbaton ko sar-e-aam lutaya na karo
shaam gehri ho toh kuch aur haseen hoti hai
saaya-e-zulf ko chehre se hataya na karo

No comments:

Post a Comment