Thursday, June 18, 2009

unknown

kabhi dil jala kabhi jaan bhi
kabhi kho gayi muskan bhi
main apno ke qabil nahi raha
ye jante hai anjaan bhi
mere sath aksar rahte hain
qatil mere mehmaan bhi
dharti par zulam dekh kar
rota hai asmaan bhi
vo badal gaya khuda sa jo
farishta tha bana shaitan bhi
bas zara zara si ranjishein
na bhula saka insaan bhi

No comments:

Post a Comment