Wednesday, June 10, 2009

unknown

kahan kho gayi meri zindgi na koi pata na koi khabar
bhala kya mila hamen ishq se tu bhi dar_badr main bhi dar_badr
vo khizan ke aane se peshtar jahan baat karte thay baith kar
ussi amarbail ki chaaun mein koi raah takta hai raat bhar
abhi din chadha hai zara zara ae sawaad-e-shab abhi thehr ja
abhi kehna chaha tha haal-e-dil tu bhi chal diya mujhe chod kar
na hi dil mein mein hain teri chahten na shikayaten na adavaten
tu kya yeh ankhen chalak paden kabhi ho gaya jo tera zikar
kahan dhondhte ho mera pata main vo phool hun jo bhikar chuka
mile ujde ujde se baam-o-dar toh yeh sochna ke hai mere ghar
tujhe kho ke ankhen bahaye khuun tujhe pa ke bhi na mile sakun
meri chahten bhi ajab rahen mere silsile bhi ajab-tar
main kahun kisi se toh kya kahun hua mujh pe taari azab fasoon
ke sakoot-e-shab meri zindgi ke gham-o-alam mere humsafar
jahan tum thay mujhse khafa huye jahan apne raste juda huye
main milunga tum ko wahin kahin ussi raah mein ussi mod par
tujhe kya kahun mere hum-nava ke bura hua ya bhala hua
kabhi zindgii jo milli mujhe toh rahi na baqi meri umar

No comments:

Post a Comment