munsif ab hum pe vaar karta hai
har ghadi sangsaar karta hai
chiin kar zindgi ka parwana
maut se humkinaar karta hai
kaam karta hai kya aaj ka munsif ?
apni hasti vo daagdaar karta hai
jaane wale bhala kab aaye hain
dil yunhi intzaar karta hai
ujadi basti pe bolta sannata
toote dilko figaar karta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment