aankhon se toote hai sitaare toh kya hua
chalte nahi vo saath hamare toh kya hua,
tufan ki lehar mein hausla mere saath saath tha
kashti ko mil sake na kinaare toh kya hua
tanhayion ne mujhko gale se laga liya
vo ban sake na dilase hamare toh kya hua
sau hausle hamare kadam choomte rahe
kuch be-sukoon raat guzare toh kya hua
manzil bhi, karwan bhi, musafir bhi khud raha,
saathi bane na hamare chaand sitaare toh kya hua...!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment